Wednesday, 21 December 2016

Dil ki Kishti ko ek Kinaare ki zaroorat


  1. Tanhaa Saanso ko ek Yaad ki zaroorat hogi,
  2. Dil ki Kishti ko ek Kinaare ki zaroorat hogi,
  3. Kya aap saath Rahoge uss Din,
  4. Jiss din Humein ek Sahaare ki Zaroorat Hogi.

Pyar ke rishte kabhi bewafa ho nahi


  • Hum apno se kabhi khafaa ho nahi sakte,
  • Pyar ke rishte kabhi bewafa ho nahi sakte,
  • Aap bhale bhool ke humein so jao,
  • Hum yaad kiye bina aapko reh nahi sakte

Dil ke kone-kone se ek awaaz aati


  • Dil ke kone-kone se ek awaaz aati hai,
  • harpal humein unki yaad aati hai,
  • dil poochhta hai baar-baar humse,
  • kya unhein bhi humaari yaad aati hain

Mehsoos karna tumhaare karib hoon


  1. Akela sa mehsoos karo jab tanhaai mein,
  2. Yaad meri aaye jab judai me,
  3. Mehsoos karna tumhaare karib hoon mai,
  4. Jab chaahe dekh lena apni hi parchhai mein

par hamein toh har waqt aapkee


  1. Har raat koi dhun gungunaati hain,
  2. har phool se mehak zaroor aati hain,
  3. Chaahe aap ke man mein beshak hamaara khayaal ho naa ho,
  4. par hamein toh har waqt aapkee hi yaad aati hain…

Aapse dil ki baate kiya kartey

➨Hum har ek pal hans kar jiya kartey hai,
➨Aapse dil ki baate kiya kartey hai,
➨Aap bahut khas ho hamarey liye,
➨Tabhi hr waqt apko yaad kiya kartey hai

Dil Se Pukaaro Toh Chala Aaun

⇔Khayaalon Se Chhoo Lo Toh Chala Aaun Main,
⇔Dil Se Pukaaro Toh Chala Aaun Main,
⇔Maine Apni Jaan Se zyaada Chaaha Hai aapko,
⇔Agar Tu Hi Khafaa Ho Jaye Toh Kahan Jaoon Main