Sunday, 18 December 2016

Na dard dil ka, Kisi ko suna sake


  1. Na wo aa sake na hum kabhi ja sake,
  2. Na dard dil ka, Kisi ko suna sake,
  3. Bus baithe hai yadon me unki..
  4. Na unhone yaad kiya or na hum unko bhula sake.

Tanhaiyon mein muskurana ishq hai


  1. Tanhaiyon mein muskurana ishq hai,
  2. Ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
  3. Yun to neend nahi aati hamein raat bhar,
  4. Magar sote sote jagna or jagte jagte sona hi ishq hai.

Warna zindagi kuch pal ki mehmaan


  1. Tum bin zindagi suni si lagti hai,
  2. Har pal adhuri si lagti hai,
  3. Ab to in saanson ko apni saanson se jodde,
  4. Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai

Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin


  1. Aankhon mein rahaa dil mein utarkar nahin dekha,
  2. Kishti ke musafir ne samandar nahin dekha,
  3. Patthar mujhe kahta hai mira chahne wala,
  4. Main mom hun usne mujhe chhookar nahin dekha

aankh band ki aur unhi sapno me phir kho


  1. es kadar hum unki mohabbat mein kho gaye,
  2. ki ek nazar dekha aur bas unhi k ho gaye,
  3. ankh khuli to andhera tha, dekha ek sapna tha,
  4. aankh band ki aur unhi sapno me phir kho gaye.

dil naa chaha ker bhi, khamosh rah jata


  1. Jab koi khayal dil se takrata hai,
  2. dil naa chaha ker bhi, khamosh rah jata hai,
  3. koi sab kuch keh ker pyar jatata hai,
  4. koi kuch na kehker bhi, sab bol jata hai!

sabhi agar apane hote to begaane kahaan


  1. Na milataa gam to barabaadi ke afasaane kahaan jaate,
  2. agar duniyaa hoti chaman to viraane kahaan jaate,
  3. chalo achchhaa huaa apano me koi gair to nikalaa,
  4. sabhi agar apane hote to begaane kahaan jaate!